Iphone 16 ka full review

APPLE NE APNA NAYA IPHONE 16 LAUNCH KIYA HAI, JO LOOKS AUR FEATURES MEIN JABARDAST HAI.

Yahan hum phone ke sabhi naye features Display, Battery, Performance, Camera ke bare me details se baat karege.

DESIGN & DISPLAY :

Apple ke naye iphone 16 mein 6.1 inch ka Super Retina XDR Display diya gaya hai, Jo vibrant colours aur Sharp visuals display quality deta hai, Resolution ki baat kare to iphone 16 mein 2532 * 1170 ka diya gaya hai, Isme pixel density ~460 PPI pixels per inch di gyi hai, HDR mode mein brightness 2000 nits di gayi, Jisse kisi bhi light conditions mein bright view milta hai, Display quality ek dum jabardast hai,

Iphone 16 ki looks aur design shandar hai, Iphone 16 ki body frame Aerospace – grade alluminium se bana hua hai, Jisse phone weight mein halka aur majboot lagta hai, Iski back par colour – infused glass ka istemaal kiya gaya hai, Jis se phone ki look bhi achhi aati hai aur majbooti bhi milti hai, Phone ki back ko is tarah design kiya gaya hai ki heat nahi hota, Phone ka design aur style is tarah ka hai ki hath me phone comfortable feel hota hai,

PERFORMANCE :

Phone mein A18 chipset diya gaya hai, Iphone 16 ki performance shandar hai, ye apps ko jaldi kholta hai,Tasks ke bich mein aasani se switch ho jata hai, Jo log Gaming ke shokeen hai, Unke liye ye jabardast phone hai, Isme aap kisi bhi game ko easily khel sakte hai, Overall performance ke mamle phone jabardast hai.

CAMERA :

Phone ka camera kuchh jaruri sudharo ke sath aata hai, Jis se phone ki images aur video quality ka achha exprience milta hai, Isme Main camera 48 Megapixels ka hai, Isme Optical Image Stabilization hai, JIski wajah se Zoom karne par bhi photo stable aur clear aate hai, Ye camera potrait photography ke liye bhi best hai, Is phone me aap 4K video recording kar sakte ho, Camera ke photography options use karne mein aasan hai, Ye camera low light condition aur door ki photos aur videos ko bhi bahut badhiya quality capture karta hai, Is phone mein aap landscapes aur group ki achhi shorts bhi le sakte hai, Iphone 16 ke camera ko pesonal aur professional dono tarke se use kar sakte hai.

BATTERY :

Iphone 16 mein 3,561mAh ki battery hai, Jo iphone ke pichhle models se thodi badi hai, JIski wajah se iska screen time pichhle models ki compression me jyada hai, Jo iphone 16 users ke liye achhi baat hai, Kyonki sabse jyada tension is battery ko lekar hi rehti hai,

OTHER INTERSTING FEATURES :

Camera Control Button : Iphone 16 mein right side par ek naya button diya gaya hai, Jise ek baar dabane par camera app khul jata hai, Double press karne se zoom aur tone set karne ka feature chalu ho jata hai, Jor se button dabane par photo khich jata hai, Agar button ko hold karke rakhte hai, To video recording suru ho jati hai.

Apple AI : Iphone 16 mein APPLE ke naye feature AI ko joda gaya hai, Jo AI ka jabardast ahsah deta hai, Ye chatgpt ki tarah kaam karta hai.

WI-FI 7 : Iphone 16 mein wi-fi 7 ko dala gaya hai, Jo jyada tezz aur sathai network connection deta hai.

Ye saare feature ashamil hone ki wajah se iphone 16 jyada powerfull aur advance ho jata hai.

https://www.apple.com/in/iphone-16/

APPLE Iphone 16 ka india mein best buy price 79900. Rupees hai.

Main Point :Waise Iphone 16 ek excellent phone hai, Lekin aapke iphone14 ya iphone 15 pehle se hai, To aapko iphone 16 Nahi lena chahiye.

Aapko ye phone kaisa laga hume comment mein bataye !

https://technicalsir.com/samsung-galaxy-a56-5g-full-review/

Samsung galaxy A56 5G ka detail review dekhe !

Agar aapko ye review achha laga to share kare aur bhi latest jankari ke technicalsir ko follow kare !


Discover more from technical sir

Subscribe to get the latest posts sent to your email.

1 thought on “Iphone 16 ka full review”

  1. Pingback: best 5g smartphones under 10000

Leave a Reply

Scroll to Top

Discover more from technical sir

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading