Best 5G smartphone under 10,000 in 2025

BEST 5G SMARTPHONES JO FEATURES AUR QUALITY ME ULTIMATE HO, JANIYE AAPKO KONSA PHONE KHARIDNA CHAHIYE AGAR AAPKA BUDGET 10,000 RUPEES HAI.

SAMSUNG F06 5G : List mein sabse pehla shandar phone hai, Samsung F06 5G is brand ka naam hi kafi hai, List mein top par aane ke liye, Agar 10,000 ke budget mein samsung brand ka 5G phone mil jaye to ye ek jabardast deal ho sakti hai aapke liye, Baat karte hai iske features ke bare mein.

DISPLAY & DESIGN : Samsung ne is phone mein 6.7 inch ki HD+ PLS LCD Display di hai jo 90Hz refresh rate deti haai, Iska resolution 1600*720 pixels hai jiski wajah se quality halki ho jati hai kyunki isme brightness kam hoti hai. Normal istemal ke liye phone achha hai par jyada high quality videos mein utna maza nahi aayega.

CAMERA : Phone mein dual setup camera high resolution sensor ke sath hai, Jo roshani mein achhi photo leta hai colour aur quality achhhi hai. Front camera 8 Megapixels ka hai jisme thik thak si photos aati hai,

PERFORMANCE : Samsung f06 5G phone mein Mediatek Dimensity ka 6300 processor diya gaya hai, Ye phone 4GB aur 6GB RAM ke sath aata hai, Isme 128GB ki internal storage milti hai jise SD card se badhaya bhi ja sakta hai.

BATTERY : Samsung f06 5G 5000mAh ki badi battery ke sath aata hai, Ye 25W fast charging support karta hai, Ek problem ye hai ki is phone ke sath charger nahi aata.

CONNECTIVITY 5G : Samsung f06 5G network ke sath aata hai

Samsung f06 5G un logo ke liye achha phone jinko kam budget mein samsung ka 5G phone chahiye. Ye ek best 5g smartphone hai is category mein.

2. MOTOROLA G35 : Motorola ne budget segment mein ye phone launch kiya hai, ye phone 10,000 rupees se bhi kam keemat par available hai.

DISPLAY : Motorola G35 mein 6.7 inch ka full HD+ LTPS display diya gaya hai, Jo 120Hz refresh rate deta hai, Display ki brightness 10,00 nits hai jo outdoor mein bhi achhi visibility deti hai.

DESIGN : Moto G35 ka design shandar hai iska back panel matte finish hai, Phone ka weight 185 grams hai dekhne mein patla aur halka hai.

CAMERA : Phone mein back camera dual setup ke sath 50 Megapixels ka hai, Din ki roshani mein photo quality achhi hai par andhere me itna achha kaam nhi karta. Front selfie camera 16 megapixels ka hai, Jisse social media ke liye achhi photo le sakte hai.

PERFORMANCE : Moto G35 mein Unisoc T760 5G Soc processor aata hai, Use karne mein phone smooth hai.

BATTERY : Moto G35 mein 5000mAh ki battery hai, Jo normal use mein ek din aaram se nikal deti hai.

CONNECTIVITY : Phone 5G network par cahlta hai, Isme aap dono sim 5G istemal kar sakte ho.

Agar aap achhe design aur 5G network ke sath kam budget me phone lena chahte hai to ye ek achha option hai. Samsung f06 5G un logo ke liye achha phone jinko kam budget mein samsung ka 5G phone chahiye. Ye bhi ek best 5g smartphone option hai is category mein.

best 5g phone

3. POCO M6 PLUS 5G List mein agla number aata hai.

DISPLAY : Poco M6 Plus mein 6.7 inch ki full HD+ IPS LCD display di gayi hai, Display colours thode kam hai kyunki isme 468 nits brightness ka use kiya gaya hai.

DESIGN : Phone ka design dekhne me achha lagta hai jo ek modern look deta hai, Iska wajan 205 gram hai jo ki kuchh jyada hai,

CAMERA : Poco M6 mein back camera 108 Megapixels ka hai jo lagta nhi ki hoga, Din mein photo achhi hai par andhere mein bass average hi hai.

PERFORMANCE : Phone Qualcomm snapdragon 4 Gen 2AE chipset ke sath aata hai, Normal use ke liye achha hai par high quality games nahi khel sakte.

BATTERY : Poco M6 plus mein 5030mAh ki battery hai jo achha backup deti hai, Jo ki 33W fast charging support karti hai.

CONNECTIVITY : Phone 5G network ke sath aata hai jisme dono sim 5G support karte hai.

Poco M6 Plus wo log le sakte hai jinko lambi battery life chahiye. Ye ek best 5g smartphone hai is category mein. Agar aapko brand name se fark nhi padta aap is phone bare mein vichar kar sakte hain.

Aapko inme se konsa phone pasand aaya comment mein bataye , Kya 10,000 rupees in phone mein lagane chahiye.

Iphone 16 ka full review dekhein.https://technicalsir.com/iphone-16-reviw/

Samsung A56 ka full review dekhein.https://technicalsir.com/samsung-galaxy-a56-5g-full-review/

Agar aapko hamari post achhi lagi ho to share aur subscribe karein.


Discover more from technical sir

Subscribe to get the latest posts sent to your email.

Leave a Reply

Scroll to Top

Discover more from technical sir

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading